Posts

Showing posts from 2020

Kasoor kiska hai?

Gudiya si hoon najuk sahi, man ki kehkar ashko se bhul jati hoon.. Rang bhed kre koi jo kuch gumsum si ho jati hoon... Sochti hoon kya bhala kapdo se sunishchit honi meri kaya hai.. Kya kasoor hai mera jo mujhe ishwar ne sanwala banaya hai.. Istri hokar jaha dene padte imtehan hai.. Tm kya Jano kehne wale na Jane kitne log yha hai.. Kehne ko dhero bate pr unka mol kaha hai... Adjustment kro tm beti ho, bahu ho, patni banke rehna yha hai... Janjal hai faila restrictions ka man ki kar Pana kahan asan hai.. Maa kehti hai shadi krlo r pati kehta jeena tmhe hamre hisab se hi ab yha hai... Ladki ho tm itna vajan lekar kaha jaogi.. Shadi bhi kaise hogi, kisi ko bhi tm pasnd nah aaaogi... Khubsurti ho to dahej kam dena padega samaj ka niyam ye kehta h... Aaina dekhlo tmhri kismat ka vo reflection deta hai... Man kehta h hoga koi jo seerat se tumhe pehchan payega... Sansarik pinjre ke is mayajal se vhi tmhe uda le jayega..

Ek muskan

 Ek lau hi kaafi hai andhiyara mitane ko..  Ek umeed hi kafi hai puri krne armano ko... Mauka deti nahi zindagi har roz sulajhne ka.. Ek muskan hi kafi hai har gham mitane ko...

Virah

Ye Jo tukdo tukdo me mujhse milte ho tm..khud bhi adhure rehte ho mujhe bhi pura nahi krte ho tm... Karne ko hai tmse bate mulakate pr vo waqt kaha hai.. Jo Dil tak phuch sake tumhare vo dor Jane kahan hai.. Kyu tera khayal mujhe itna satata hai,,Tu door h ab fir bhi tere sapno me kho jata hai... Simat sa jata hai Dil aksar inhi armano me,,ye qa hai jo toot kar bhi toot nahi pata hai... Kyu khawab Tere band ankhe benakab kr deti hai,,palke bhi ab Dil se mere dhokadhadi kr leti hai... Samundar si yadein choote choot nahi pati hai,,rishtey toot jate hai pr yade kaha choot pati hai..

Apna time ayega

 Surkhiyon me apna nam ek roj ayega.. Chai ki chuski ke sath akhbar tmhe meri khabar sunayega... Tm apne swapna se uth kar jab subh ko aaoge... Samay tmhe mere swapna ki sair karayega...

Ek aur koshish Arman ki

Jab tak hari na thi khud se chal rhi thi.. Aj takdeer ne aaina dikhaya to ladkha gyi hoon.. Na Jane kab kis ore kis mod pe milegi vo raah... Jiske chubhte kante Seh kr Khun se lathpath badhti jarhi hoon... Na Suraj ug rha hai na kalraw safaltaon ne machaya hai.. Bs har taraf hoon gamgeeen Mai, ye waqt mujhe Kaha le aya hai? Sochkr man me manjil ka, pehla kadam badhya tha.. Beette beette beet rha sb, kya samjhaute ka samay aya hai?? Udna hai Anant me,band pinjre me kaid armano ko na rakh paungi.. Ek aur bar Koshish krungi shayad is bar safal ho jaungi...

SSR's Case controversy

 We all are aware of SSR's case..right...My question to everybody is that are we above law? Because we never allow anybody to speak up completely and declare them criminals...We are saying Rhea chakroborty abetted Sushant for committing suicide..But why we guys do not want to let the accused speak her mind...A soul that is gone now , are we doing justice with him?? All the time news and theories are after his image that's made by him in so many years..And above all whatever wrong has happened is just because of that girl...I m not here to support anyone..But if there is law then freedom of speech should be for all...We previously had Divya bharti and parveen Barbi like superstars also...They also committed suicide but nobody then tried this much hard for thier justice..There could also be a boy who did so..But no..this time everybody is getting a girl to frame..Coz it can clear so many stories for girls like..A girl is a reason behind spoiling a boy's life..Why?? Isn't ...

Happy teacher's day

I think we all must have heard a thirsty crow story..My motive behind recalling that story today is the importance of day itself..We, students are actually like thirsty crows and here thirst is related to education/excellence.. We want to quench our thirst (means to achieve our goal) but we are not able to do so..and here comes the role of a teacher who tells us all the possible ways to level up yourself to reach to that excellence and we start collecting stones (means doing all efforts) and then finally the level comes up and we reach to our goal of quenching (excellence)..In the story crow might have thought itself but in reality we need someone to push us up.. That push is given by our teachers..So thanks to all of them...

Truth of life

Never allow anyone to meddle into your pains because people will start judging and literally nobody is going to take interest in the shits of your life... Inspired from a Hindi quote by Rahim das ki.. "Rahiman nij man ki vyatha, man hi raakho got.. Sun ithalahein log sab, bant na lehe koy.."

Baki sb moh maya hai

Hatash hoon khud se ya zindagi se naraz hoon... Na jane kaisi hai ye uljhan kyu mai badhawas hoon... Khush rehna tha pasand mujhe, jane kis bojh ne dabaya hai.. Ab to lagta hai ulfate hi hain jeevan, baki sb moh maya hai...

Umeed

Sawal: Umeed se hm hai, hmse hai umeed... Gar gham hai Zindagi to kaisi umeed??? Jawab: Umeed se Arman hai...Arman se hai preet... Preet se hi ho sake..umeed ss umeed...

Stubborness

" Be a stubborn for everything in Life...Whether its for getting something or reaching pinnacle... "

Misunderstandings

 Misunderstanding comes and goes... If you understand the misunderstanding as the understanding of life then it becomes the biggest misunderstanding of your life... Hence never allow misunderstandings to grind you down...

Expectations

  Whom you expect to be perfect is the person whom you love the most...

Difference between coward and fearless guys

 Finding faults and saying bye to a situation occurs with pusillanimous persons but the work of keeping yourself as an unturned stone in storm can only be done by braves...

Fact

  "It's very easy to lose someone but  it's manifold hard to win" Have a courage to win not to lose and the world will be all yours...

Thought of the day

Sometimes its better to leave everything on God...because he'll better find the best path for you... If the decision goes in your favour then also fine..If not then too... You can not always control the ambience around...

Kyun pyaar Kar Jate Hain????

Ek tukda ehsaas ka, ek tukda abhas ka...  Nanhi ose ki bundon me baraste juzzbat ka..     Rat ki cahndni me jhumte akash ka...  Door baithe priyatam ke jigar ke paas ka...   Kise kehte hai pyar??? kaise hota hai ikrar?? kaise ho jata hai ajnabee ankho se karar??   kya kehte hai log vo jo mehssos karte hain?? Jo mehssos karte hain kya vo pyar karte hain??   Dhai akhar prem ke jab paribhashit nahi hain.. Bin bole fir do log kaise pyar karte hain?   Dil ki dhadkan un tak kaise jati hai?? Bina stethoscope ke unhe awaj kaise aati hai??   Kaise chand me nihar lete hai unko... Kaise ek pal me rooh se rooh mil jati  hai??   Kaise unki yad me ankho se aansu chalak aate hain?? Kaise hum unke door jane ke ehsas se bhi dar jate hain?   Agar ye hai pyar to fir hum is ehsas se kyu ghabrate hain? Ghabrate hain gar to fir kyun pyaar kar jate hain???   Kyun pyaar Kar Jate Hain????

Take the time by the forelock

"Jeene ka maza aaj me hai, kal me kya rakha hai? Jo khwaishein hain jee lo unhe, waqt nahi kisi ka dost sachha hai.... kal jo sambhale tum to pachtaoge... Hath malte rahoge kya kuch hasil kar paoge? Jo choot gaya is pal use kal kaise jee paoge? 'Kya hona hai kal' sirf isi soch me jeete jaoge? Pucho khud se har waqt dil tumhara qa chahta hai... Jo karna hi kar lo qki guzra waqt vapas nahi ata hai..."

Tribute to martyrs from BIKRU kaand

"हो शहीद जवान फर्ज़ पे या होवे माटी पे, फौलादी है सारे गोली कहते जो छाती पे .... आँच न आने देते जो हैं जान जीवन के रखवाले, शहादत को नमन मेरा धन्य है वो वतन पे मर मिटने वाले  उनके त्याग तप को चंद सुर्खियों में पढ़के भूल जाना बहुत आसान है, दुःख है तो प्रण लो मिटा देंगे इस धरती से पाप और तभी दम लेकर कहेंगे हिंदी है हम, हम 'हिंदुस्तान' है !!!!!! मुझे समझ नहीं आता आखिर मैं  किस देश का हिस्सा हूँ ?? एक ओर जहाँ का प्रधानमंत्री विरोधी देश की ईंट से ईंट बजाने सीमा पर जाता है वही दसूरी ओर हमारी ही मातृभूमि के वीर सपूतों को एक जाने माने हिस्ट्रीशीटर के द्वारा गोलियों से छलनी कर दिया जाता है....  हम पडोसी मुल्क से क्या ख़ाक लड़ पाएंगे जब तक हम इन छुपे भेड़ियों को मार नहीं गिराएंगे....  अपने ही लोगों में छिपे हैं कुछ विभीषण जैसे लोग, जिनकी वजह से प्लान बनते ही दुश्मन को लीक कर दिया जाता है..... वो जान बचाने को जाते लोगों को बाथरूम में एक के ऊपर एक ढेर कर दिया जाता है ..... आँख का पानी मर गया है इन गद्दारों के जो ज़िन्दगियों से खेल रहे हैं, हमारी कौम कैसे अब तक इतनी टोलेराबल है ज...

JOSH

Zindagi me aye ho to kuch kar ke dikhao..... Roko mat khud ko, kro na kaid, himmat apne hauslo me bharke dikhao... Ye jeena bhi kya jeena hai jisme junoon e khas na ho... Zaddojehad ki vo aag apne man me dafan krke dikhao... Mita do khud ki us hsati ko jo tmhe kayar banati hai... Kood pado us kashti me jo tmhe lakshya ki ore le jati hai... Theharna bhala nah hoga yha pal pal tmse koi age badh jata hai... Socho us kachuye ka jo dheemi gati se bhi jeet jata hai... Daudna nahi hai chalna hai, pag pag krke badhte jao... Ek kadam se kadam mila kr tm ye seedhi bhi chadh jao.... Vijay ka vo shor sun sakna sbke nam nhi hota.... Gir ke uthna uth kar chalna asan nahi hota.... To utho tm chal pado apne sapno ki raah me... Baithi hai safalta yha ugte suraj ki chanv me.... Inspired by...... "If you want to shine like a sun then first burn like a sun"-- Dr. A.P.J. Kalam

Majdoor

"Is mitti ki jan hu mai, mujhse hai shan desh ki... Zindadil hu karmath hu, nahi meri aviram zindagi... Chalta hu har roj subh, man me lekr naya ujala... Badhte badhte hai mere kadam, nahi baithega ye himmatwala... Meelo ka hai ye safar, haste haste tay kr jana hai.... Nahi rukna hai is pathik ko, khun paseene se mitti ka karz nibhana hai... Bhuke ko dene roti kabhi kisan ban jata hu... kabhi kisi ke armano ka mahal banake dikhalata hu... Nahi mera koi ek swaroop...Har roop me aa jata hu... Kabhi kabhi shikshak banke jeevan ka path sikhata hu... Janmne wala har insan mere jaisa ban jata hai... Roj roj sapne liye ghanto ka waqt bitata hai... Tay krna hai lamba safar jeevan nahi asan... Mehnat krke safal krunga jeevan, banunga desh ka abhiman... Bs yahi soch har ek dagar minto me par lagata hu... Mai tanha chalne wala hu majdoor nam kehlata hu...."

Kalam ki syahi

Image
"Likhne baithi hu aj achank fir vahi kitab, panno me jiske chipa tha bhut gehra raaj... Kuch bhag kiya tha pura kuch adhoora bhi hai aaj, jane kis ghadi me lag gyi use likhte huye aankh.... Aaj bhi ek hawa ka jhonka un panno ko jab hilata hai, sochti hu hai qa bhala jo mera kalam nahi keh pata hai.... Kyu ye syahi har waqt mujhse cheekh kar kehti hai, hai qa bhala aisa e kalam jo mujhse door tu rehti hai.... Khtama krungi apna jeevan puri krke ye kitaab, nahi to ansuni reh jayegi ek ankahi fr aaj... Kalam bhi zidd chodkar apni krta hai ye ikrar, E syahi jeevan mera bin tere hai bekar.... Ek tere khatir mai krunga fir naya aagaz...  Likhne baithunga mai aaj fir se vhi kitab... Fir se vhi kitab..."

ZIndagi

Image
"Afsos  me to na jane kitne chale jate hai.... Zindagi se sachhi mohabbat krne wale to logo ko jeena sikhate hai... Na jane kitne palo ki hai ye zindagi, kab palak jhapakte najrandaj ho jaye... Ishwar se dua hai bas jab maut samne ho to meri rooh bhi us waqt muskuraye...."

Nirbhaya

" Jis din is desh ki har beti 'BEDI' ban jayegi... Na hogi Nirbhaya yha tab, har ladki jurm se seena thok ke takrayegi... Dehshat me aa jayenge ye vahishi darindey... Jab beti beti ghar me ghuskar in rakshaso ko zinda dafnayegi..."

Azad Parindey

Image
"Ud chala fir kahi ye manchala... Aaj jane kis ore ye jayega??? Tham jayega kabhi na kabhi... kya us ore apni manjil payega??? Manjil na mili to kahi toot na jaye... Hausla uske armano me udaan bhar payega??? Sahas chanknachoor hoga jab... Nayi raah vo kaise banayega??? Gir ke ud chale fir usi akaash me... Vo parinda apni manjil jarur payega..."

Feel speaks

Image
"Tum nahi badle waqt badal gaya.. Gar waqt nahi to kya badal gaya?? Kuch khata hui qa mujhse.. Achanak unka rukh kuch yu badal gaya.. Samjh na saki mai unke in iradon ko.. Vo nazro ka khel, un ankahe jazbaton ko.. Kya khoob the vo din.. Bunne baithi thi ekroj unme jinke khayal... Ye kya hua un rishto ko, Kyu hai ye badhaal... Na rok saki in ansuo ko, Na samjh saki dhaar ki pukar... Bus chal padi kahi in vadiyon me dhundne vo apnapan, dhundne vo pyar..."