Majdoor

"Is mitti ki jan hu mai, mujhse hai shan desh ki...
Zindadil hu karmath hu, nahi meri aviram zindagi...
Chalta hu har roj subh, man me lekr naya ujala...
Badhte badhte hai mere kadam, nahi baithega ye himmatwala...
Meelo ka hai ye safar, haste haste tay kr jana hai....
Nahi rukna hai is pathik ko, khun paseene se mitti ka karz nibhana hai...
Bhuke ko dene roti kabhi kisan ban jata hu...
kabhi kisi ke armano ka mahal banake dikhalata hu...
Nahi mera koi ek swaroop...Har roop me aa jata hu...
Kabhi kabhi shikshak banke jeevan ka path sikhata hu...
Janmne wala har insan mere jaisa ban jata hai...
Roj roj sapne liye ghanto ka waqt bitata hai...
Tay krna hai lamba safar jeevan nahi asan...
Mehnat krke safal krunga jeevan, banunga desh ka abhiman...
Bs yahi soch har ek dagar minto me par lagata hu...
Mai tanha chalne wala hu majdoor nam kehlata hu...."

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Prem ki paribhasha

Patni (Nari aj ki)

Shikayten