Patni (Nari aj ki)
Vo jo tod de har deewar har aate toofan ko...
Ek uski khatir razi hai bechne har arman ko...
Bich jati hai daulat met kr uske samne...
Patni hai vo nibhati hai har dharm even jate waqt shamshan ko..
Log kehte hai abla kabhi kehte hain bala...
Roop hai kitne aurat ke ye kon samjha ab tak bhala??
Nari kaisi bhi sahi sath har mushkil me vo nibhati hai...
Sita to ab nahin fir bhi arthi ko kandha dekr pati ko moksh dilati hai...
Ab na yamraj se prano ki raksha krna asan hai...
Jo hain un sang khush raho, qki saye sang jeena mrit hokar jeene ke saman hai... 😑
Comments
Post a Comment