Posts

Showing posts from May, 2020

JOSH

Zindagi me aye ho to kuch kar ke dikhao..... Roko mat khud ko, kro na kaid, himmat apne hauslo me bharke dikhao... Ye jeena bhi kya jeena hai jisme junoon e khas na ho... Zaddojehad ki vo aag apne man me dafan krke dikhao... Mita do khud ki us hsati ko jo tmhe kayar banati hai... Kood pado us kashti me jo tmhe lakshya ki ore le jati hai... Theharna bhala nah hoga yha pal pal tmse koi age badh jata hai... Socho us kachuye ka jo dheemi gati se bhi jeet jata hai... Daudna nahi hai chalna hai, pag pag krke badhte jao... Ek kadam se kadam mila kr tm ye seedhi bhi chadh jao.... Vijay ka vo shor sun sakna sbke nam nhi hota.... Gir ke uthna uth kar chalna asan nahi hota.... To utho tm chal pado apne sapno ki raah me... Baithi hai safalta yha ugte suraj ki chanv me.... Inspired by...... "If you want to shine like a sun then first burn like a sun"-- Dr. A.P.J. Kalam

Majdoor

"Is mitti ki jan hu mai, mujhse hai shan desh ki... Zindadil hu karmath hu, nahi meri aviram zindagi... Chalta hu har roj subh, man me lekr naya ujala... Badhte badhte hai mere kadam, nahi baithega ye himmatwala... Meelo ka hai ye safar, haste haste tay kr jana hai.... Nahi rukna hai is pathik ko, khun paseene se mitti ka karz nibhana hai... Bhuke ko dene roti kabhi kisan ban jata hu... kabhi kisi ke armano ka mahal banake dikhalata hu... Nahi mera koi ek swaroop...Har roop me aa jata hu... Kabhi kabhi shikshak banke jeevan ka path sikhata hu... Janmne wala har insan mere jaisa ban jata hai... Roj roj sapne liye ghanto ka waqt bitata hai... Tay krna hai lamba safar jeevan nahi asan... Mehnat krke safal krunga jeevan, banunga desh ka abhiman... Bs yahi soch har ek dagar minto me par lagata hu... Mai tanha chalne wala hu majdoor nam kehlata hu...."