Posts

Shikayten

 Dil jeetne par unhone kabhi gaur nahi farmaya.. Bus apna soch soch kar har jagh apna rona gaya... Keh lete agar vo prem ke do meethe bol... Rishta hota atoot magar vah ho nahi paya.. To shikayten kaisi h unko hmse... Unhone jo boya vhi hi paya... Kante boke tum phoolo ki umeed rakhte ho.. Khud kadwe hoke tum meethe ki umeed rakhte ho.. Khud pe tum khud se jyda waqt bitate ho... Dusro ki peeda pr bhi muskurate ho.. Kaise manav ho tum jo sab jan kar bhi apni adato me ulajhte chale jate ho..

Ahenkar ki jung vs hindu muslim

 Jo bante h pujari khud ko nam se...  Karm aise h ki sir jhuka de apman se...  Mandir majjid ki daud hoti thi ab tak is race me...  Ab to ahenkar ki jung ladte h ve bade ghuman se...

Zindagi

 Zindagi hume jeene ka saar sikhati hai..  Choti choti cheejo me hasna muskurana sikhati hai...  Kabhi dagmagate huye kadmo ko sambhalti hai..  Kabhi khud dhakka dekr lehro ke par aana sikhati hai...  Jo toot jate hain unko tod deti hai...  Jo datt gye unke sapno ko haqueekat ka ashiyan banati hai..  Zindagi hume jeene ka saar sikhati hai... ✍🏻

Jeena isi ka nam hai

 Jiske pass moti h use heero ka har chahiye...  Jiske paas roti hai use pizza ka swad chaiyee...  Jis pe ek gadi h usko farari chahiye...  Jispe cycle h usko rejgari chaiyye..  Jo cooler me sota h usko AC chaiye...  Kisi ko sone ke liye bs khula asman chahiye...  Jiski jitni chadar h usme vo khush kaha hai..  Chahtein h itni hme khud ki kadar hi kaha h... Doob gye h bs mayavi janjal me...  Jeena asal me kya hai ye janne ki fursat hi kaha hai..

Patni (Nari aj ki)

Vo jo tod de har deewar har aate toofan ko...  Ek uski khatir razi hai bechne har arman ko...  Bich jati hai daulat met kr uske samne...  Patni hai vo nibhati hai har dharm even jate waqt shamshan ko..  Log kehte hai abla kabhi kehte hain bala... Roop hai kitne aurat ke ye kon samjha ab tak bhala??  Nari kaisi bhi sahi sath har mushkil me vo nibhati hai...  Sita to ab nahin fir bhi arthi ko kandha dekr pati ko moksh dilati hai...  Ab na yamraj se prano ki raksha krna asan hai...  Jo hain un sang khush raho, qki saye sang jeena mrit hokar jeene ke saman hai... 😑 

Child labour

 Ghuman kar naa uspe jo tere pass hai...  Tulna na krna usse jyada jiske pas hai...  Socho us gareeb ki jiske na waqt sath hai...  2 joon ki roti jiski bs ek ardaas hai...  Beetti qa hogi us masoom pr jo khelne ki umra me khilaune banata hai...  Fir bhi vo jeeta hai, hume museebaton se jeetna sikhata hai...  Kyu in nanhi ankho me itne sawal hain...  Gar badal gya hai desh to badlaw kahan hain??? 

Akele hum

 Kachhe the vo dhage jo andhiyo se too gye... Isi ek malal me na jane kitne choot gye... 🖤 Mud kar dekha to chehra nhi yadon ka sailab najar aya...  Aaina dekha aj to khud ko behad akela paya...  Ye jo yari thi kal tak vo aj kaha hai...  Gar sb kuch hai mujhpe to sukoon kaha hai??