Kalam ki syahi
"Likhne baithi hu aj achank fir vahi kitab, panno me jiske chipa tha bhut gehra raaj... Kuch bhag kiya tha pura kuch adhoora bhi hai aaj, jane kis ghadi me lag gyi use likhte huye aankh.... Aaj bhi ek hawa ka jhonka un panno ko jab hilata hai, sochti hu hai qa bhala jo mera kalam nahi keh pata hai.... Kyu ye syahi har waqt mujhse cheekh kar kehti hai, hai qa bhala aisa e kalam jo mujhse door tu rehti hai.... Khtama krungi apna jeevan puri krke ye kitaab, nahi to ansuni reh jayegi ek ankahi fr aaj... Kalam bhi zidd chodkar apni krta hai ye ikrar, E syahi jeevan mera bin tere hai bekar.... Ek tere khatir mai krunga fir naya aagaz... Likhne baithunga mai aaj fir se vhi kitab... Fir se vhi kitab..."